Thursday, April 11, 2013

Sukhan-1

Hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achhe,

Kehte hain ki Ghalib ka hai andaz-e-bayaan aur….


Poonchhte hain ki Ghalib se itni deewangi kyoon,
Tumhi batao, hai behtar Saki kahin aur!!

Ghalib ke Aashiq to Hain hum Purane,
Ye to bukhar hai jo utar kar hai chadha!!

Yaar Ghalib tune kaisa nasha diya hai?
Ye alfazon ke moti khatm hi nahi hotein, Tune mala kaise buna hai?
Tere marz ki dawa se hain hum pahle hi khafa, kuchh aur ho to de humein bata!!

Kahtein hain ki har Noor mein Hai tu, zarre zarre mein hai tu Hi basa,
Fir ye mandir ki murat masjid ki eit se Juda kyoon?
Chirag-e-mazar mandir ke deep se hai khafa kyoon?

Raasta poonchha tha humne, aapne to kadmon ke bhi dhhanche de diye.
ab na bhatakne ka dar hai, na hi fisalne ka!!

Jo maante sher-o-sukhan chot-e-dil se nikalti hai,
Hum tabiz-e-maula  gale mein latkaye bhagte!!

Maathe pe na shikan ho, jo agar hum sonchtein,
Ye dastan na hoti ye karwaan na hota!!

1 comment:

mad_mumbler said...

Bahoot hi utkrisht rachna :) Ghalib ki deewangi ka suroor jo tumpey taari hai wo bakhoobi jhalka hai...saath hi saath mansik udvegna ki tasveer bhi nazar ati hai jo samaj ke roop ne gardhi hai :) Bahoot hi achcha hai..padhtey raho likhtey raho aur padhatey raho :)